Monday 19 May 2014

Humans of Pakistan

"14 saal pehlay father ki death ho gae to aik shop par 60rs/day par loading unloading ka kaam shuru kar dia. Din main parhai karta tha or shaam main job karta tha. Har kuch din baad ammi yahi poochti thai ka Baita tu kaisay karay ga, kaisay karay ga.
Waqt guzarta gya. Tangi k bawajood maine parhai puri ki,
Ab main aik company main Accounts Officer hun or 60,000/month kama raha hu. Last year meri sister ki shadi bhi ho gae ab mai apni ammi ki khoob khidmat karta hun. Kyun kay ye sab unhi ki duaon ka nateeja ha."

"Agar ap ye parhne walon ko koi pegham dein gay toh wo kya hoga?"

"Jis kisi haal me ho, Allah per bharoosa rakho."


No comments:

Post a Comment